Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai {اک میں ہی نہیں ان پر قربان زمانہ ہے }Lyrcis 2024

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai {اک میں ہی نہیں ان پر قربان زمانہ ہے }Lyrcis 2024

اک میں ہی نہیں ان پر قربان زمانہ ہے 

اک میں ہی نہیں ان پر قربان زمانہ ہے 

جو رب دو عالم کا محبوب یگانہ ہے

کل جس نے ہمیں پُل سے خود پار لگانا ہے

زہرہ کا وہ بابا ہے حسنین کا نانا ہے

اُس ہاشمی دولہا پر کونین کو میں واروں

جو حُسن و شمائل میں یکتائے زمانہ ہے

عزت سے نہ مر جائیں کیوں نام محمد ﷺپر

ہم نے کسی دن یوں بھی دنیا سے تو جانا ہے

آو در زہرہ پر پھیلائے ہوئے دامن

ہے نسل کریموں کی لجپال گھرانہ ہے

ہوں شاہ مدینہ کی میں پشت پناہی میں

کیا اس کی مجھے پرواہ دشمن جو زمانہ ہے

یہ کہ کے در حق سے لی موت میں کچھ مہلت

میلاد کی آمد ہے محفل کو سجانا ہے

قربان اُس آقاﷺ پر کل حشر کے دن جس نے

اَس اُمت عاصی کو کملی میں چھپانا ہے

سو بار اگر توبہ ٹوٹی بھی تو حیرت کیا

بخشش کی روائت میں توبہ تو بہانہ ہے

ہر وقت وہ ہیں میری دُنیائے تصور میں

اے شوق کہیں اب تو آنا ہے نہ جانا ہے

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Lyrcis In Roman English

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai ,
Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai,
Jo Rab E Do Aalam Ka Mahboob Yagana Hai.

Kal Pul Say Hamein Jis Nay Khud Par Lagana Hai,
Zahra Ka Woh Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai.

Iss Hashmi Dulha Per Konain Ko Main Waroon,
Jo Husn O Shumail Mein Yakta E Zamana Hai.

Izzat Say Na Marjayein Kyun Naam E Muhammad Par,
Youn Bhi Kisi Din Hum Ne Duniya Say Toh Jana Hai.

Yoon Shah E Madina Ki Mein Pusht Panahi Mein,
Kiya Iski Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana Hai.

Soh Bar Agar Tauba Tuti Bhi To Kiya Hairat,
Bakhshih Ki Riwayat Mein Toba To Bahana Hai.

Pur Noor Si Rahein Hain, Gunbad Pay Nigahein Hai,
Jalwey Bhi Anokhay Hain, Manzar Bhi Suhana Hai.

Yeh Keh Kay Dar E Haq Say Li Maut Mein Kuch Mohlat,
Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai.

Aao Dar E Zahra Par Phalaye Hue Daman,
Yeh Nasal Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai.

Qurban Us Aaqa Per Kal Hashr Ke Din Jisnay,
Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chupana Hai.

Har Waqt Woh Hain Meri Duniya E Tasawar Mein,
Aie Shoq Kahin Ab To Aana Hai Na Jana Hai.

Hum Kyun Na Kahein Unsay Rodad E Alam Apni,
Jab Unka Kaha Khud Bhi Allah Nay Mana Hai.

Mehroom E Karam Is Ko Rakhiye Na Sar E Mehshar,
Jaisa Hai Naseer Aakhir, Sahil Toh Purana Hai.

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai

ik main hi nahi un par qurban zamana hai, new naat Lyrcis 2024, Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai

Related Naat Sharif Lyrcis:

Leave a comment